Iftikhar Arif

kahin se koi harf-e-motabar shayad na aae

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
kahīñ se koī harf-e-mo'tabar shāyad na aa.e
musāfir lauT kar ab apne ghar shāyad na aa.e
qafas meñ āb-o-dāne kī farāvānī bahut hai
asīroñ ko ḳhayāl-e-bāl-o-par shāyad na aa.e
kise mālūm ahl-e-hijr par aise bhī din aa.eñ
qayāmat sar se guzre aur ḳhabar shāyad na aa.e
jahāñ rātoñ ko paḌ rahte hoñ āñkheñ muuñd kar log
vahāñ mahtāb meñ chehra nazar shāyad na aa.e
kabhī aisā bhī din nikle ki jab sūraj ke hamrāh
koī sāhib-nazar aa.e magar shāyad na aa.e
sabhī ko sahl-añgārī hunar lagne lagī hai
saroñ par ab ġhubār-e-rahguzar shāyad na aa.e
Top Urdushayar.com