jaisā huuñ vaisā kyuuñ huuñ samjhā saktā thā maiñ
tum ne pūchhā to hotā batlā saktā thā maiñ
āsūda rahne kī ḳhvāhish maar ga.ī varna
aage aur bahut aage tak jā saktā thā maiñ
chhoTī-moTī ek lahar hī thī mere andar
ek lahar se kyā tūfān uThā saktā thā maiñ
kahīñ kahīñ se kuchh misre ek-ādh ġhazal kuchh sher
is pūñjī par kitnā shor machā saktā thā maiñ
jaise sab likhte rahte haiñ ġhazleñ nazmeñ giit
vaise likh likh kar ambār lagā saktā thā maiñ