Iftikhar Arif

azab-e-wahshat-e-jaan ka sila na mange koi

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
azāb-e-vahshat-e-jāñ kā sila na māñge koī
na.e safar ke liye rāsta na māñge koī
buland hāthoñ meñ zanjīr Daal dete haiñ
ajiib rasm chalī hai duā na māñge koī
tamām shahr mukarram bas ek mujrim maiñ
so mere ba.ad mirā ḳhūñ-bahā na māñge koī
koī to shahr-e-tazabzub ke sākinoñ se kahe
na ho yaqīn to phir mo.ajiza na māñge koī
azāb-e-gard-e-ḳhizāñ bhī na ho bahār bhī aa.e
is ehtiyāt se ajr-e-vafā na māñge koī
Top Urdushayar.com