umīd-o-bīm ke mehvar se haT ke dekhte haiñ
zarā sī der ko duniyā se kaT ke dekhte haiñ
bikhar chuke haiñ bahut baaġh o dasht o dariyā meñ
ab apne hujra-e-jāñ meñ simaT ke dekhte haiñ
tamām ḳhāna-ba-doshoñ meñ mushtarak hai ye baat
sab apne apne gharoñ ko palaT ke dekhte haiñ
phir is ke ba.ad jo honā hai ho rahe sar-e-dast
bisāt-e-āfiyat-e-jāñ ulaT ke dekhte haiñ
vahī hai ḳhvāb jise mil ke sab ne dekhā thā
ab apne apne qabīloñ meñ baT ke dekhte haiñ
sunā ye hai ki subuk ho chalī hai qīmat-e-harf
so ham bhī ab qad-o-qāmat meñ ghaT ke dekhte haiñ