ye qarz-e-kaj-kulahī kab talak adā hogā
tabāh ho to ga.e haiñ ab aur kyā hogā
yahāñ tak aa.ī hai biphre hue lahū kī sadā
hamāre shahr meñ kyā kuchh nahīñ huā hogā
ġhubār-e-kūcha-e-va.ada bikhartā jaatā hai
ab aage apne bikharne kā silsila hogā
sadā lagā.ī to pursān-e-hāl koī na thā
gumān thā ki har ik shaḳhs ham-navā hogā
kabhī kabhī to vo āñkheñ bhī sochtī hoñgī
bichhaḌ ke rañg se ḳhvāboñ kā haal kyā hogā
huā hai yuuñ bhī ki ik umr apne ghar na ga.e
ye jānte the koī raah dekhtā hogā
abhī to dhund meñ lipTe hue haiñ sab manzar
tum aaoge to ye mausam badal chukā hogā