koī junūñ koī saudā na sar meñ rakkhā jaa.e
bas ek rizq kā manzar nazar meñ rakkhā jaa.e
havā bhī ho ga.ī mīsāq-e-tīragī meñ farīq
koī charāġh na ab rah-guzar meñ rakkhā jaa.e
usī ko baat na pahuñche jise pahuñchnī ho
ye iltizām bhī arz-e-hunar meñ rakkhā jaa.e
na jaane kaun se tarkash ke tiir kab chal jaa.eñ
nishān-e-mehr kamān-e-sipar meñ rakkhā jaa.e
vafā gumān hī Thahrī to kyā zarūr ki ab
lihāz-e-ham-safarī bhī safar meñ rakkhā jaa.e
har ik se pūchhte phirte haiñ tere ḳhāna-ba-dosh
azāb-e-dar-ba-darī kis ke ghar meñ rakkhā jaa.e
hameñ bhī āfiyat-e-jāñ kā hai ḳhayāl bahut
hameñ bhī halqa-e-nā-mo.atabar meñ rakkhā jaa.e