sar-e-bām-e-hijr diyā bujhā to ḳhabar huī
sar-e-shām koī judā huā to ḳhabar huī
mirā ḳhush-ḳhirām balā kā tez-ḳhirām thā
mirī zindagī se chalā gayā to ḳhabar huī
mire saare harf tamām harf azaab the
mire kam-suḳhan ne suḳhan kiyā to ḳhabar huī
koī baat ban ke bigaḌ ga.ī to pata chalā
mire bevafā ne karam kiyā to ḳhabar huī
mire ham-safar ke safar kī samt hī aur thī
kahīñ rāsta koī gum huā to ḳhabar huī
mire qissa-go ne kahāñ kahāñ se baḌhā.ī baat
mujhe dāstāñ kā sirā milā to ḳhabar huī
na lahū kā mausam-e-rañg-rez na dil na maiñ
koī ḳhvāb thā ki bikhar gayā to ḳhabar huī