aise bhī kuchh ġham hote haiñ
jo ummīd se kam hote haiñ
aage aage chaltā hai rasta
pīchhe pīchhe ham hote haiñ
raag kā vaqt nikal jaatā hai
jab tak sur qaa.em hote haiñ
bāhar kī ḳhushkī pe na jaao
patthar andar nam hote haiñ
milne koī nahīñ aatā jab
apne aap meñ ham hote haiñ
chehroñ kī to bhiiḌ hai lekin
sahī salāmat kam hote haiñ
nazmeñ ġhazleñ ḳhat afsāne
us ke naam raqam hote haiñ
dil ke shelf meñ 'shāhid' kitnī
yādoñ ke album hote haiñ