kuchh bhī nahīñ kahīñ nahīñ ḳhvāb ke iḳhtiyār meñ
raat guzār dī ga.ī sub.h ke intizār meñ
bāb-e-atā ke sāmne ahl-e-kamāl kā hujūm
jin ko thā sar-kashī pe naaz vo bhī isī qatār meñ
jaise fasād-e-ḳhūn se jild-e-badan pe dāġh-e-bars
dil kī siyāhiyāñ bhī haiñ dāman-e-dāġh-dār meñ
vaqt kī Thokaroñ meñ hai uqdā-kushā.iyoñ ko zo.am
kaisī ulajh rahī hai Dor nāḳhun-e-hoshyār meñ
aa.egā aa.egā vo din ho ke rahegā sab hisāb
vaqt bhī intizār meñ ḳhalq bhī intizār meñ
jaisī lagī thī dil meñ aag vaisī ġhazal banī nahīñ
lafz Thahar nahīñ sake dard kī tez dhaar meñ