Iftikhar Arif

KHazana-e-zar-o-gauhar pe KHak Dal ke rakh

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
ḳhazāna-e-zar-o-gauhar pe ḳhaak Daal ke rakh
ham ahl-e-mehr-o-mohabbat haiñ dil nikāl ke rakh
hameñ to apne samundar kī ret kaafī hai
tū apne chashma-e-be-faiz ko sambhāl ke rakh
zarā sī der kā hai ye urūj-e-māl-o-manāl
abhī se zehn meñ sab zāviye zavāl ke rakh
ye baar baar kināre pe kis ko dekhtā hai
bhañvar ke biich koī hausla uchhāl ke rakh
na jaane kab tujhe jañgal meñ raat paḌ jaa.e
ḳhud apnī aag se sho.ala koī ujaal ke rakh
javāb aa.e na aa.e savāl uThā to sahī
phir is savāl meñ pahlū na.e savāl ke rakh
tirī balā se giroh-e-junūñ pe kyā guzrī
tū apnā daftar-e-sūd-o-ziyāñ sambhāl ke rakh
chhalak rahā hai jo kashkol-e-ārzū us meñ
kisī faqīr ke qadmoñ kī ḳhaak Daal ke rakh
Top Urdushayar.com