sitāra-vār jale phir bujhā diye ga.e ham
phir is ke ba.ad nazar se girā diye ga.e ham
aziiz the hamīñ nau-vāridān-e-kūcha-e-ishq
so pīchhe haTte ga.e rāsta diye ga.e ham
shikast o fat.h ke sab faisle hue kahīñ aur
misāl-e-māl-e-ġhanīmat luTā diye ga.e ham
zamīn farsh-e-gul-o-lāla se sajā.ī ga.ī
phir is zamīñ kī amānat banā diye ga.e ham
duā.eñ yaad karā dī ga.ī thiiñ bachpan meñ
so zaḳhm khāte rahe aur duā diye ga.e ham