Iftikhar Arif

KHauf ke sail-e-musalsal se nikale mujhe koi

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
ḳhauf ke sail-e-musalsal se nikāle mujhe koī
maiñ payambar to nahīñ huuñ ki bachā le mujhe koī
apnī duniyā ke mah-o-mehr sameTe sar-e-shām
kar gayā jāda-e-fardā ke havāle mujhe koī
itnī der aur tavaqquf ki ye āñkheñ bujh jaa.eñ
kisī be-nūr ḳharābe meñ ujāle mujhe koī
kis ko fursat hai ki ta.amīr kare az-sar-e-nau
ḳhāna-e-ḳhvāb ke malbe se nikāle mujhe koī
ab kahīñ jā ke sameTī hai umīdoñ kī bisāt
varna ik umr kī zid thī ki sambhāle mujhe koī
kyā ajab ḳhema-e-jāñ terī tanābeñ kaT jaa.eñ
is se pahle ki havāoñ meñ uchhāle mujhe koī
kaisī ḳhvāhish thī ki socho to hañsī aatī hai
jaise maiñ chāhūñ usī tarah banā le mujhe koī
terī marzī mirī taqdīr ki tanhā rah jā.ūñ
magar ik aas to de pālne vaale mujhe koī
Top Urdushayar.com