ġhairoñ se dād-e-jaur-o-jafā lī ga.ī to kyā
ghar ko jalā ke ḳhaak uḌā dī ga.ī to kyā
ġhārat-garī-e-shahr meñ shāmil hai kaun kaun
ye baat ahl-e-shahr pe khul bhī ga.ī to kyā
ik ḳhvāb hī to thā jo farāmosh ho gayā
ik yaad hī to thī jo bhulā dī ga.ī to kyā
mīsāq-e-aitabār meñ thī ik vafā kī shart
ik shart hī to thī jo uThā dī ga.ī to kyā
qānūn-e-bāġh-bāni-e-sahra kī sarnavisht
likkhī ga.ī to kyā jo na likkhī ga.ī to kyā
is qahat-o-inhedām-e-rivāyat ke ahd meñ
tālīf nusḳha-hā-e-vafā kī ga.ī to kyā
jab 'mīr' o 'mīrzā' ke suḳhan rā.egāñ ga.e
ik be-hunar kī baat na samjhī ga.ī to kyā