Iftikhar Arif

wafa ki KHair manata hun bewafai mein bhi

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
vafā kī ḳhair manātā huuñ bevafā.ī meñ bhī
maiñ us kī qaid meñ huuñ qaid se rihā.ī meñ bhī
lahū kī aag meñ jal-bujh ga.e badan to khulā
rasā.ī meñ bhī ḳhasāra hai nā-rasā.ī meñ bhī
badalte rahte haiñ mausam guzartā rahtā hai vaqt
magar ye dil ki vahīñ kā vahīñ judā.ī meñ bhī
lihāz-e-hurmat-e-paimāñ na pās-e-ham-ḳhvābī
ajab tarah ke tasādum the āshnā.ī meñ bhī
maiñ das baras se kisī ḳhvāb ke azaab meñ huuñ
vahī azaab dar aayā hai is dahā.ī meñ bhī
tasādum-e-dil-o-duniyā meñ dil kī haar ke ba.ad
hijāb aane lagā hai ġhazal-sarā.ī meñ bhī
maiñ jā rahā huuñ ab us kī taraf usī kī taraf
jo mere saath thā merī shikasta-pā.ī meñ bhī
Top Urdushayar.com