zarā sī der ko aa.e the ḳhvāb āñkhoñ meñ
phir us ke ba.ad musalsal azaab āñkhoñ meñ
vo jis ke naam kī nisbat se raushnī thā vajūd
khaTak rahā hai vahī āftāb āñkhoñ meñ
jinheñ matā-e-dil-o-jāñ samajh rahe the ham
vo aa.ine bhī hue be-hijāb āñkhoñ meñ
ajab tarah kā hai mausam ki ḳhaak uḌtī hai
vo din bhī the ki khile the gulāb āñkhoñ meñ
mire ġhazāl tirī vahshatoñ kī ḳhair ki hai
bahut dinoñ se bahut iztirāb āñkhoñ meñ
na jaane kaisī qayāmat kā pesh-ḳhema hai
ye uljhaneñ tirī be-intisāb āñkhoñ meñ
javāz kyā hai mire kam-suḳhan batā to sahī
ba-nām-e-ḳhush-nigahī har javāb āñkhoñ meñ