ye bastiyāñ haiñ ki maqtal duā kiye jaa.eñ
duā ke din haiñ musalsal duā kiye jaa.eñ
koī fuġhāñ koī naala koī bukā koī bain
khulegā bāb-e-muqaffal duā kiye jaa.eñ
ye iztirāb ye lambā safar ye tanhā.ī
ye raat aur ye jañgal duā kiye jaa.eñ
bahāl ho ke rahegī fazā-e-ḳhitta-e-ḳhair
ye habs hogā mo.attal duā kiye jaa.eñ
guzishtagān-e-mohabbat ke ḳhvāb kī saugand
vo ḳhvāb hogā mukammal duā kiye jaa.eñ
havā.e sarkash o saffāk ke muqābil bhī
ye dil bujheñge na mish.al duā kiye jaa.eñ
ġhubār uḌātī jhulastī huī zamīnoñ par
umañD ke ā.eñge bādal duā kiye jaa.eñ
qubūl honā muqaddar hai harf-e-ḳhālis kā
har ek aan har ik pal duā kiye jaa.eñ