Iftikhar Arif

inhin mein jite inhin bastiyon mein mar rahte

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
inhīñ meñ jiite inhīñ bastiyoñ meñ mar rahte
ye chāhte the magar kis ke naam par rahte
payambaroñ se zamīneñ vafā nahīñ kartīñ
ham aise kaun ḳhudā the ki apne ghar rahte
parinde jaate na jaate palaT ke ghar apne
par apne ham-shajaroñ se to bā-ḳhabar rahte
bas ek ḳhaak kā ehsān hai ki ḳhair se haiñ
vagarna sūrat-e-ḳhāshāk dar-ba-dar rahte
mire karīm jo terī razā magar is baar
baras guzar ga.e shāḳhoñ ko be-samar rahte
Top Urdushayar.com