sitāroñ se bharā ye āsmāñ kaisā lagegā
hamāre ba.ad tum ko ye jahāñ kaisā lagegā
thake-hāre hue sūraj kī bhīgī raushnī meñ
havāoñ se ulajhtā bādbāñ kaisā lagegā
jame qadmoñ ke nīche se phisaltī jā.egī ret
bikhar jā.egī jab umr-e-ravāñ kaisā lagegā
isī miTTī meñ mil jā.egī pūñjī umr bhar kī
giregī jis ghaḌī dīvār-e-jāñ kaisā lagegā
bahut itrā rahe ho dil kī baazī jītne par
ziyāñ ba.ad az ziyāñ ba.ad az ziyāñ kaisā lagegā
vo jis ke ba.ad hogī ik musalsal be-niyāzī
ghaḌī bhar kā vo sab shor o fuġhāñ kaisā lagegā
abhī se kyā batā.eñ marg-e-majnūñ kī ḳhabar par
sulūk-e-kūcha-e-nā-mehrbāñ kaisā lagegā
batāo to sahī ai jān-e-jāñ kaisā lagegā
sitāroñ se bharā ye āsmāñ kaisā lagegā