Iftikhar Arif

gali-kuchon mein hangama bapa karna paDega

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
galī-kūchoñ meñ hañgāma bapā karnā paḌegā
jo dil meñ hai ab us kā tazkira karnā paḌegā
natīja karbalā se muḳhtalif ho yā vahī ho
madīna chhoḌne kā faisla karnā paḌegā
vo kyā manzil jahāñ se rāste aage nikal jaa.eñ
so ab phir ik safar kā silsila karnā paḌegā
lahū dene lagī hai chashm-e-ḳhūñ-basta so is baar
bharī āñkhoñ se ḳhvāboñ ko rihā karnā paḌegā
mubādā qissa-e-ahl-e-junūñ nā-gufta rah jaa.e
na.e mazmūn kā lahja nayā karnā paḌegā
daraḳhtoñ par samar aane se pahle aa.e the phuul
phaloñ ke ba.ad kyā hogā pata karnā paḌegā
gañvā baiThe tirī ḳhātir ham apne mahr o māhtāb
batā ab ai zamāne aur kyā karnā paḌegā
Top Urdushayar.com