Iftikhar Arif

junun ka rang bhi ho shola-e-numu ka bhi ho

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
junūñ kā rañg bhī ho shola-e-numū kā bhī ho
sukūt-e-shab meñ ik andāz guftugū kā bhī ho
maiñ jis ko apnī gavāhī meñ le ke aayā huuñ
ajab nahīñ ki vahī aadmī adū kā bhī ho
vo jis ke chāk-e-garebāñ pe tohmateñ haiñ bahut
usī ke haath meñ shāyad hunar rafū kā bhī ho
vo jis ke Dūbte hī naav Dagmagāne lagī
kise ḳhabar vahī taarā sitāra-jū kā bhī ho
subūt-e-mohkamī-e-jāñ thī jis kī burrish-nāz
usī kī teġh se rishta rag-e-gulū kā bhī ho
vafā ke baab meñ kār-e-suḳhan tamām huā
mirī zamīn pe ik ma.arka lahū kā bhī ho
Top Urdushayar.com