ham apne raftagāñ ko yaad rakhnā chāhte haiñ
diloñ ko dard se ābād rakhnā chāhte haiñ
mubādā mundamil zaḳhmoñ kī sūrat bhuul hī jaa.eñ
abhī kuchh din ye ghar barbād rakhnā chāhte haiñ
bahut raunaq thī un ke dam qadam se shahr-e-jāñ meñ
vahī raunaq ham un ke ba.ad rakhnā chāhte haiñ
bahut mushkil zamānoñ meñ bhī ham ahl-e-mohabbat
vafā par ishq kī buniyād rakhnā chāhte haiñ
saroñ meñ ek hī saudā ki lau dene lage ḳhaak
umīdeñ hasb-e-istedād rakhnā chāhte haiñ
kahīñ aisā na ho harf-e-duā mafhūm kho de
duā ko sūrat-e-fariyād rakhnā chāhte haiñ
qalam ālūda-e-nān-o-namak rahtā hai phir bhī
jahāñ tak ho sake āzād rakhnā chāhte haiñ