haamī bhī na the munkir-e-'ġhālib' bhī nahīñ the
ham ahl-e-tazabzub kisī jānib bhī nahīñ the
is baar bhī duniyā ne hadaf ham ko banāyā
is baar to ham shah ke musāhib bhī nahīñ the
bech aa.e sar-e-qarya-e-zar jauhar-e-pindār
jo daam mile aise munāsib bhī nahīñ the
miTTī kī mohabbat meñ ham āshufta-saroñ ne
vo qarz utāre haiñ ki vājib bhī nahīñ the
lau detī huī raat suḳhan kartā huā din
sab us ke liye jis se muḳhātib bhī nahīñ the