Iftikhar Arif

koi muzhda na bashaarat na dua chahti hai

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
koī muzhda na bashārat na duā chāhtī hai
roz ik taaza ḳhabar ḳhalq-e-ḳhudā chāhtī hai
mauj-e-ḳhūñ sar se guzarnī thī so vo bhī guzrī
aur kyā kūcha-e-qātil kī havā chāhtī hai
shahr-e-be-mehr meñ lab-basta ġhulāmoñ kī qatār
na.e ā.īn-e-asīrī kī binā chāhtī hai
koī bole ke na bole qadam uTTheñ na uTheñ
vo jo ik dil meñ hai dīvār uThā chāhtī hai
ham bhī labbaik kaheñ aur fasāna ban jaa.eñ
koī āvāz sar-e-koh-e-nidā chāhtī hai
yahī lau thī ki ulajhtī rahī har raat ke saath
ab ke ḳhud apnī havāoñ meñ bujhā chāhtī hai
ahd-e-āsūdgi-e-jāñ meñ bhī thā jaañ se aziiz
vo qalam bhī mire dushman kī anā chāhtī hai
bahr-e-pāmāli-e-gul aa.ī hai aur mauj-e-ḳhizāñ
guftugū meñ ravish-e-bād-e-sabā chāhtī hai
ḳhaak ko ham-sar-e-mahtāb kiyā raat kī raat
ḳhalq ab bhī vahī naqsh-e-kaf-e-pā chāhtī hai
Top Urdushayar.com