ye bastī jānī-pahchānī bahut hai
yahāñ va.adoñ kī arzānī bahut hai
shagufta lafz likkhe jā rahe haiñ
magar lahjoñ meñ vīrānī bahut hai
subuk-zarfoñ ke qaabū meñ nahīñ lafz
magar shauq-e-gul-afshānī bahut hai
hai bāzāroñ meñ paanī sar se ūñchā
mire ghar meñ bhī tuġhyānī bahut hai
na jaane kab mire sahrā meñ aa.e
vo ik dariyā ki tūfānī bahut hai
na jaane kab mire āñgan meñ barse
vo ik bādal ki nuqsānī bahut hai