bastī bhī samundar bhī bayābāñ bhī mirā hai
āñkheñ bhī mirī ḳhvāb-e-pareshāñ bhī mirā hai
jo Dūbtī jaatī hai vo kashtī bhī hai merī
jo TūTtā jaatā hai vo paimāñ bhī mirā hai
jo haath uThe the vo sabhī haath the mere
jo chaak huā hai vo girebāñ bhī mirā hai
jis kī koī āvāz na pahchān na manzil
vo qāfila-e-be-sar-o-sāmāñ bhī mirā hai
vīrāna-e-maqtal pe hijāb aayā to is baar
ḳhud chīḳh paḌā maiñ ki ye unvāñ bhī mirā hai
vāraftagi-e-sub.h-e-bashārat ko ḳhabar kyā
andesha-e-sad-shām-e-ġharībāñ bhī mirā hai
maiñ vāris-e-gul huuñ ki nahīñ huuñ magar ai jaan
ḳhamyāza-e-tauhīn-e-bahārāñ bhī mirā hai
miTTī kī gavāhī se baḌī dil kī gavāhī
yuuñ ho to ye zanjīr ye zindāñ bhī mirā hai