azaab ye bhī kisī aur par nahīñ aayā
ki ek umr chale aur ghar nahīñ aayā
us ek ḳhvāb kī hasrat meñ jal bujhīñ āñkheñ
vo ek ḳhvāb ki ab tak nazar nahīñ aayā
kareñ to kis se kareñ nā-rasā.iyoñ kā gila
safar tamām huā ham-safar nahīñ aayā
diloñ kī baat badan kī zabāñ se kah dete
ye chāhte the magar dil idhar nahīñ aayā
ajiib hī thā mire daur-e-gumrahī kā rafīq
bichhaḌ gayā to kabhī lauT kar nahīñ aayā
harīm-e-lafz-o-ma.ānī se nisbateñ bhī rahīñ
magar salīqa-e-arz-e-hunar nahīñ aayā