samajh rahe haiñ magar bolne kā yaarā nahīñ
jo ham se mil ke bichhaḌ jaa.e vo hamārā nahīñ
abhī se barf ulajhne lagī hai bāloñ se
abhī to qarz-e-mah-o-sāl bhī utārā nahīñ
bas ek shaam use āvāz dī thī hijr kī shaam
phir us ke ba.ad use umr bhar pukārā nahīñ
havā kuchh aisī chalī hai ki tere vahshī ko
mizāj-pursī-e-bād-e-sabā gavārā nahīñ
samundaroñ ko bhī hairat huī ki Dūbte vaqt
kisī ko ham ne madad ke liye pukārā nahīñ
vo ham nahīñ the to phir kaun thā sar-e-bāzār
jo kah rahā thā ki biknā hameñ gavārā nahīñ
ham ahl-e-dil haiñ mohabbat kī nisbatoñ ke amiin
hamāre paas zamīnoñ kā goshvāra nahīñ