ġham-e-jahāñ ko sharmsār karne vaale kyā hue
vo saarī umr intizār karne vaale kyā hue
baham hue baġhair jo guzar ga.iiñ vo sā.ateñ
vo ek ek pal shumār karne vaale kyā hue
duā-e-nīm-shab kī rasm kaise ḳhatm ho ga.ii!
vo harf-e-jāñ pe e'tibār karne vaale kyā hue
kahāñ haiñ vo jo dasht-e-ārzū meñ ḳhaak ho ga.e
vo lamha-e-abad shikār karne vaale kyā hue
talab ke sāhiloñ pe jaltī kashtiyāñ batā.eñgī
shanāvarī pe e'tibār karne vaale kyā hue