tār-e-shabnam kī tarah sūrat-e-ḳhas TūTtī hai
aas bañdhne nahīñ paatī hai ki bas TūTtī hai
ārzūoñ kā hujūm aur ye Dhaltī huī umr
saañs ukhaḌtī hai na zanjīr-e-havas TūTtī hai
gard itnī ki sujhā.ī nahīñ detā kuchh bhī
shor itnā hai ki āvāz-e-jaras TūTtī hai
munhadim hotā chalā jaatā hai dil sāl-ba-sāl
aisā lagtā hai girah ab ke baras TūTtī hai
bū-e-gul aa.e na aa.e magar ushshāq ke biich
itnī vahshat hai ki dīvār-e-qafas TūTtī hai
zikr asmā-e-ilāhī kā hai faizān ki ab
dam ulajhtā hai na tasbīh-e-nafas TūTtī hai