ab bhī tauhīn-e-itā.at nahīñ hogī ham se
dil nahīñ hogā to bai.at nahīñ hogī ham se
roz ik taaza qasīda na.ī tashbīb ke saath
rizq bar-haq hai ye ḳhidmat nahīñ hogī ham se
dil ke ma.abūd jabīnoñ ke ḳhudā.ī se alag
aise aalam meñ ibādat nahīñ hogī ham se
ujrat-e-ishq vafā hai to ham aise mazdūr
kuchh bhī kar leñge ye mehnat nahīñ hogī ham se
har na.ī nasl ko ik taaza madīne kī talāsh
sāhibo ab koī hijrat nahīñ hogī ham se
suḳhan-ārā.ī kī sūrat to nikal saktī hai
par ye chakkī kī mashaqqat nahīñ hogī ham se