Iftikhar Arif

sab chehron par ek hi rang aur sab aankhon mein ek hi KHwab

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
sab chehroñ par ek hī rañg aur sab āñkhoñ meñ ek hī ḳhvāb
phir bhī jaane bastī bastī maqtal kyuuñ hai shahr-e-gulāb
vahshat-e-bām-o-dar kahtī hai aur balā.eñ ā.eñgī
ab jo balā.eñ aa.iiñ to logo ran hogā be-hadd-o-hisāb
jab bhī kabhī shab-ḳhūn paḌā to ahl-e-chaman ḳhāmosh rahe
mausam-e-gul meñ jis ko dekho ''merī shāḳheñ'' ''mere gulāb''
ham se koī pūchhe to batā.eñ kyā kuchh ham par biit ga.ī
kahāñ kahāñ gahnā.e sūraj kahāñ kahāñ Duube mahtāb
aao sham.eñ sab gul kar do kah do jaane vaale jaa.eñ
ab har din paikār kā din hai ab har din hai roz-e-hisāb
pyaas kī bāteñ kahte sunte kitne mausam aa.e ga.e
koī sabīl-e-koh-kanī bhī kab tak zikr-e-qaht-e-āb
ham be-dar be-ghar logoñ kī ek duā bas ek duā
mālik shahr-e-gulāb salāmat ham par jo bhī aa.e azaab
Top Urdushayar.com