Iftikhar Arif

ye naqsh hum jo sar-e-lauh-e-jaan banate hain

Iftikhar Arif

Lucknow, Uttar pradesh, India

1940
ye naqsh ham jo sar-e-lauh-e-jāñ banāte haiñ
koī banātā hai ham ḳhud kahāñ banāte haiñ
ye sur ye taal ye lai kuchh nahīñ ba-juz taufīq
to phir ye kyā hai ki ham armuġhāñ banāte haiñ
samundar us kā havā us kī āsmāñ us kā
vo jis ke izn se ham kashtiyāñ banāte haiñ
zamīñ kī dhuup zamāne kī dhuup zehn kī dhuup
ham aisī dhuup meñ bhī sā.ebāñ banāte haiñ
ḳhud apnī ḳhaak se karte haiñ mauj-e-nūr kashīd
phir us se ek na.ī kahkashāñ banāte haiñ
kahānī jab nazar aatī hai ḳhatm hotī huī
vahīñ se ek na.ī dāstāñ banāte haiñ
khulī fazā meñ ḳhush-āvāz tā.eroñ ke hujūm
magar vo log jo tiir o sināñ banāte haiñ
palaT ke aa.e ġharīb-ul-vatan palaTnā thā
ye dekhnā hai ki ab ghar kahāñ banāte haiñ
Top Urdushayar.com