shikasta-par junūñ ko āzmā.eñge nahīñ kyā
uḌānoñ ke liye par phaḌphaḌā.eñge nahīñ kyā
havā.eñ mehrbāñ thiiñ muntaqim kyuuñ ho ga.ī haiñ
nigah-varān-e-sāhil kuchh batā.eñge nahīñ kyā
koī hañstā huā sūraj pas-e-dīvār-e-tārīk
firozāñ ho to dīvāreñ girā.eñge nahīñ kyā
vahī pahlī sī arzānī sar-e-bāzār-e-pindār
nazar aa.e to ham qīmat baḌhā.eñge nahīñ kyā
savād-e-tishnagī ke paar ik mavvāj dariyā
ġhazal-ḳhvāñ ho to phir teshe uThā.eñge nahīñ kyā
badalte mausamoñ kī dhuul hote rāstoñ ko
thake-hāre musāfir yaad ā.eñge nahīñ kyā