ḳhvāb dekhne vaalī āñkheñ patthar hoñgī tab socheñge
sundar komal dhyān titliyāñ be-par hoñgī tab socheñge
ras barsāne vaale bādal aur taraf kyuuñ uḌ jaate haiñ
harī-bharī shādāb khetiyāñ banjar hoñgī tab socheñge
bastī kī dīvār pe kis ne an-honī bāteñ likh dī haiñ
is anjāne Dar kī bāteñ ghar ghar hoñgī tab socheñge
māñge ke phūloñ se kab tak rūp-sarūp kā maan baḌhegā
apne āñgan kī mahkāreñ be-ghar hoñgī tab socheñge
biitī rut kī sab pahchāneñ bhuul ga.e to phir kyā hogā
ga.e dinoñ kī yādeñ jab be-manzar hoñgī tab socheñge
aane vaale kal kā svāgat kaise hogā kaun karegā
jalte hue sūraj kī kirneñ sar par hoñgī tab socheñge