Kishwar Naheed

dil ko bhi gham ka saliqa na tha pahle pahle

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
dil ko bhī ġham kā salīqa na thā pahle pahle
us ko bhī bhūlnā achchhā lagā pahle pahle
dil thā shab-zād use kis kī rifāqat miltī
ḳhvāb tābīr se chhuptā rahā pahle pahle
pahle pahle vahī andāz thā dariyā jaisā
paas aa aa ke palaTtā rahā pahle pahle
aañkh ā.inoñ kī hairat nahīñ jaatī ab tak
hijr kā ghaao bhī us ne diyā pahle pahle
khel karne ko bahut the dil-e-ḳhvāhish-dīda
kyuuñ havā dekh jalāyā diyā pahle pahle
umr-e-ā.inda ke ḳhvāboñ ko pyāsā rakkhā
fāsla paañv pakaḌtā rahā pahle pahle
nāḳhun-e-be-ḳhabarī zaḳhm banātā hī rahā
kū-e-vahshat meñ to rasta na thā pahle pahle
ab to us shaḳhs kā paikar bhī gul-ḳhvāb nahīñ
jo kabhī mujh meñ thā mujh jaisā thā pahle pahle
ab vo pyāsā hai to har buuñd bhī pūchhe nisbat
vo jo dariyāoñ pe hañstā rahā pahle pahle
vo mulāqāt kā mausam nahīñ aayā ab ke
jo sar-e-ḳhvāb sañvartā rahā pahle pahle
ġham kā dariyā mirī āñkhoñ meñ simaT kar pūchhe
kaun ro ro ke bichhaḌtā rahā pahle pahle
ab jo āñkheñ huiiñ sahrā to khulā har manzar
dil bhī vahshat ko tarastā rahā pahle pahle
maiñ thī dīvār to ab kis kā hai saaya tujh par
aisā sahrā-zada chehrā na thā pahle pahle
Top Urdushayar.com