iram ke nuur se tiira makāñ jalā.e ga.e
charāġh ham the kahāñ ke kahāñ jalā.e ga.e
hamīñ ko us ne payambar kiyā mashī.at kā
hamīñ se rāz-e-mashī.at magar chhupā.e ga.e
kabhī to ham pe khuleñge ḳhushī ke darvāze
isī umiid pe ham tere ġham uThā.e ga.e
jo kal talak rahe aasī ḳhitāb-e-mahfil meñ
vo log aaj tire naam se bulā.e ga.e
ugal rahe the jo laavā ġham-e-ta.assub kā
hamāre ḳhuuñ se vo ātish-fishāñ bujhā.e ga.e
rah-e-hayāt meñ bhaḌkī hai jab nifāq kī aag
magar is aag kā luqma hamīñ banā.e ga.e
rafū kiyā kiye chāk-e-vafā-o-tār-e-qabā
vo rūThte rahe aur ham unheñ manā.e ga.e