hasīñ tujh se tirā husn-e-talab thā
maiñ apne aap ko hāsil hī kab thā
adab malhūz tā hadd-e-adab thā
maiñ biinā bhī jo nā-bīnā-laqab thā
maiñ apne aap se bichhḌā to jaanā
na milnā bhī tire milne kā Dhab thā
tire ġham kī masarrat allāh allāh
jo nam-dīda thā vo ḳhanda-ba-lab thā
azal se yuuñ tujhe sab jānte haiñ
koī pahchāntā ab hai na tab thā
har ik laġhzish pe phailā.e thā baazū
tirā ġham rabarāna bhī ġhazab thā