hayāt-o-marg kā uqda kushā hone nahīñ detā
vo jaane kyuuñ mujhe rāz-āshnā hone nahīñ detā
use kis darja apne husn-e-yaktā.ī kī chāhat hai
vo apnā sā koī bhī dūsrā hone nahīñ detā
ḳhirad bhaTkā.e hai aksar dalā.el se aqīdat ko
magar gumrāh terā naqsh-e-pā hone nahīñ detā
jo chhū luuñ āsmāñ paañv kī dhartī khīñch letā hai
vo mujh ko kyuuñ mire qad se baḌā hone nahīñ detā
javāñ-lāshe pe haiñ shikva-ba-lab kāñdhe za.īfī ke
agar vo chāhtā ye hādisa hone nahīñ detā