Satya Nand Java

aaya tha koi zehn tak aa kar palaT gaya

Satya Nand Java

aayā thā koī zehn tak aa kar palaT gayā
lekin bisāt-e-dil to hamārī ulaT gayā
haa.e vo sail-e-ashk jo palkoñ pe tham gayā
āñkhoñ meñ apnī aaj samundar simaT gayā
phailā.e ham khaḌe rahe palkoñ kī jholiyāñ
aayā umaD ke abr magar vo bhī chhaT gayā
terī galī meñ terā tasavvur kiye hue
ik shaḳhs aap saa.e se apne lipaT gayā
dasht-e-hayāt se koī guzrā hai is tarah
gard-e-qadam se vaqt kā chehra bhī aT gayā
Top Urdushayar.com