dard-e-dil ke liye kuchh aisī davā lī ham ne
Tiis gar kam bhī huī aur baḌhā lī ham ne
apne ashkoñ ko tabassum se chhupāyā jaise
jism uryāñ thā to pārīna qabā lī ham ne
umr-bhar shahr-e-nigārāñ meñ vafā ko tarse
apnī nā-karda gunāhī kī sazā lī ham ne
chīḳhte lamhoñ se andar kā na rishta TuuTā
varna bāhar kī to ḳhāmosh fazā lī ham ne
ek mahshar sā bapā thā ka.ī āvāzoñ kā
bolnā chāhā to māñge kī sadā lī ham ne