qasīda fat.h kā dushman kī talvāroñ pe likkhā hai
jo ham ne nāra-e-takbīr yalġhāroñ pe likkhā hai
shanāsā.ī bhī tere shahr meñ jab ajnabī Thahrī
to apnā naam ham ne ghar kī dīvāroñ pe likkhā hai
shab-e-ġham āsmāñ ko tāktā rahtā huuñ pahroñ yuuñ
ki jaise gardish-e-qismat kā hal tāroñ pe likkhā hai
amal se dosto duniyā hai jannat bhī jahannam bhī
nisāb-e-zindagī insāñ ke kirdāroñ pe likkhā hai
use puuje hai 'muztar' ugtā sūraj jaan kar duniyā
ki jis ne naam apnā vaqt ke dhāroñ pe likkhā hai