Satya Nand Java

jo dur se hamein akasr KHuda sa lagta hai

Satya Nand Java

jo duur se hameñ akasr ḳhudā sā lagtā hai
vahī qarīb se kuchh āshnā sā lagtā hai
kabhī hamārī nigāhoñ se dekh le us ko
phir us ke ba.ad batā tujh ko kaisā lagtā hai
tamām raat jale din ko sard-mehr bane
badan kā shahr bhī shahr-e-anā sā lagtā hai
vo us kī sahmī sī chāhat jafā kī chilman meñ
vo bevafā bhī hameñ bā-vafā sā lagtā hai
bikharte TūTte in ziist ke makānoñ meñ
vo ik makān hameñ ḳhushnumā sā lagtā hai
salīb-o-dār pe chaḌh kar hue haiñ lā-fānī
ye dast-e-marg bhī dast-e-duā sā lagtā hai
Top Urdushayar.com