Satya Nand Java

kahan kahan se nigah usko DhunD lae hai

Satya Nand Java

kahāñ kahāñ se nigah us ko DhūñD laa.e hai
kisī ke saath sahī vo nazar to aa.e hai
falak se jaise sitāra zamīn par utre
mirī galī meñ vo mahshar ḳhirām aa.e hai
fazā-e-fikr meñ vo chāñd ban ke chamkā hai
shab-e-firāq kī rañgat badaltī jaa.e hai
ḳhudā gavāh ḳhudā to nahīñ vo shaḳhs magar
usī kā naam mukarrar laboñ pe aa.e hai
kahāñ kahāñ na jalā.e navāzishoñ ke charāġh
mujhī ko ghor añdhere meñ chhoḌ jaa.e hai
vo baat zehn meñ jis se kuchh intishār sā hai
vo baat sher ke sāñche meñ Dhaltī jaa.e hai
Top Urdushayar.com