Satya Nand Java

hamare jism ne jis jism ko bulaya hai

Satya Nand Java

hamāre jism ne jis jism ko bulāyā hai
vo ruuh ban ke khaḌā duur muskurāyā hai
patā chalā kabhī shahr-e-anā vahīñ par thā
jahāñ khañDar pe nayā shahr ab basāyā hai
hayāt naav hai kāġhaz kī bārhā jis par
uḌāyā āñdhiyoñ ne sail ne bahāyā hai
jis aa.ine pe dhuñdlakoñ ne khīñch dī chilman
usī ne aks hamārā hameñ dikhāyā hai
koī khaḌā hai dar-e-dil pe muntazir kab se
mahaktī sāñsoñ ne aa kar hameñ batāyā hai
Top Urdushayar.com