Satya Nand Java

shahr-e-dil sulga to aahon ka dhuan chhane laga

Satya Nand Java

shahr-e-dil sulgā to aahoñ kā dhuāñ chhāne lagā
shabnamī āñchal magar yādoñ kā lahrāne lagā
shām-e-tanhā.ī meñ bhī ik shaḳhs kī yādoñ kā saath
rañg apne ġham ke vīrānoñ kā sañvlāne lagā
thaam kar baiThā rahā maiñ chāñdnī kā narm haath
jab añdherā zulf kā māhaul par chhāne lagā
dasht-e-tanhā.ī meñ jī chāhā use āvāz duuñ
jab pukārā ḳhud sadā se apnī Takrāne lagā
shaam hī se jal uThe jab us kī yādoñ ke charāġh
chhāñv meñ tāroñ kī shab par bhī nikhār aane lagā
Top Urdushayar.com