Satya Nand Java

salib lad ke kandhe pe chal raha hun main

Satya Nand Java

salīb laad ke kāñdhe pe chal rahā huuñ maiñ
hisār-e-zāt se bāhar nikal rahā huuñ maiñ
hayāt DhūñDhtī phirtī hai mujh ko sar-gardāñ
adhūrā jism liye ruḳh badal rahā huuñ maiñ
banā diyā hai zamāne ne mujh ko patthar sā
ki zarb-e-tesha se ātish ugal rahā huuñ maiñ
mirī nigāh meñ duniyā chitā kī raakh sī hai
isī ḳhayāl ke sho.aloñ meñ jal rahā huuñ maiñ
bulā rahī hai mujhe apne ghar kī vīrānī
miyān-e-shor-e-salāsil machal rahā huuñ maiñ
zamāna DhūñDegā mujh ko dur-e-sadaf kī tarah
ki buuñd buuñd samundar meñ Dhal rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com