masāfat kī garāñ har ek saa.at TuuT jaatī hai
tirī chashm-e-ināyat se aziyyat TuuT jaatī hai
tirī yādoñ kī sūrat se nikaltī hai ajab sūrat
ujāle yuuñ baraste haiñ ki zulmat TuuT jaatī hai
sadā-e-haq-shanāsī gasht kartī rahtī hai lekin
zamāna ye samajhtā hai sadāqat TuuT jaatī hai
barā-e-jazba-sāzī kuchh dikhāvā ho magar yaaro
riyā-kārī baratne se ibādat TuuT jaatī hai
ġhazal meñ jiddat-o-nudrat zarūrī hai bahut 'amjad'
magar fannī buḳhālat se salāsat TuuT jaatī hai