safar kā ruḳh badal kar dekhtā huuñ
kuchh apnī samt chal kar dekhtā huuñ
muqaddar phuul haiñ yā Thokareñ phir
kisī patthar meñ Dhal kar dekhtā huuñ
mujhe detī hai kyā kyā naam duniyā
tire kūche meñ chal kar dekhtā huuñ
tapish bebākiyoñ kī kam ho shāyad
lahū sūraj pe mal kar dekhtā huuñ
bharosa to nahīñ va.ade pe tere
magar phir bhī bahal kar dekhtā huuñ
ye vo haiñ yā ki merā vāhima hai
unheñ phir āñkheñ mal kar dekhtā huuñ