Ghufran Amjad

ajab tha zoam ki bazm-e-aza sajaenge

Ghufran Amjad

Banaras, Uttar pradesh, India

1959
ajab thā zo.am ki bazm-e-azā sajā.eñge
mire harīf lahū ke diye jalā.eñge
maiñ tajraboñ kī aziyyat kise kise samjhā.ūñ
ki tere ba.ad bhī mujh par azaab ā.eñge
bas ek sajda-e-tāzīm ke taqābul meñ
kahāñ kahāñ vo jabīn-e-talab jhukā.eñge
atash atash kī sadā.eñ uThī samundar se
to dasht-e-pyās ke chashme kahāñ lagā.eñge
chhupā ke rakh to liyā hai sharār-e-bū-lahbī
dhuāñ uThā to nazar tak milā na pā.eñge
darāz karte raho dast-e-haq-shanās apnā
bahut huā to vo neze pe sar uThā.eñge
navāh-e-lafz-o-ma.ānī meñ guuñj hai kis kī
koī batā.e ye 'amjad' ki ham batā.eñge
Top Urdushayar.com