maiñ sīkhtā rahā ik umr hāv-hū karnā
yūñhī nahīñ mujhe aayā ye guftugū karnā
abhī talab ne jhameloñ meñ Daal rakkhā hai
abhī to sīkhnā hai terī aarzū karnā
hameñ charāġhoñ se Dar kar ye raat biit ga.ī
hamārā zikr sar-e-shām kū-ba-kū karnā
bhalā ye kis ne kahā thā hayāt-baḳhsh hai ye ishq
kabhī mile to use mire rū-ba-rū karnā
kise ḳhabar kise miltā hai lams-e-fikr-e-rasā
ḳhayāl-e-yār ke zimme hai justujū karnā
mujhe bhī rañj hai murjhā ga.e vo phuul se log
batā rahā hai mirā zikr-e-rañg-o-bū karnā
sukūt-e-shab ne sikhāyā thā mujh ko āḳhir-e-shab
balā kā shor ho jab ḳhāmushī rafū karnā